FUNNY POETRY

Tu mere dil mein aise samaayi hai
Jaise baajray ke khet mein bhains ghus aayi hai


Ghalib ne likha deewar par lal rang se
Yahan kuch bhi likhna mana hai


Majnu Laila ke baal pakad ke bola
Moya kitne din se sar nahin dhoya


Zor ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder?


Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat ko maine itna kyon khaaya

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud khushi(suicide) kar le Zalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi


Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya


Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon


Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel
So my darling ... What's The Big-Deal ??


Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye


Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya


Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge


Khud ko kar buland itnaa
Kay Himaalay ki choti pe jaa pahunche
Aur LOG tujh say puche
Abe gadhe, ab utrega kaise


Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain


Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi joshh ke sath !
Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,badi shhor ke sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !