• Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaass bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.
Apni yadon se keho ki yun na sataya kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai. |
• Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai. |
• Zindagi hai to khwab hain,
Khwab hain to manzilein hain,
Manzilein hain to raste hain,
Raste hain to Mushkilein hain,
Muskilein hain to MAIN HOON NAA. |
• Ret pe naam kabhi likhte nahin, kyonki ret pe likhe naam kabhi tikte nahin,
Aap kehte ho tum patthar dil ho, par patthar pe likhe naam kabhi mitte nahin. |
• Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
Hamne khud ko khushnaseeb paya,
Tamanna thi ek pyare se dost ki,
Khuda khud dost bankar chala aaya. |
• Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya. |
• Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati. |
• Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi. |
• Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki. |
• Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai! |
|